Monday, March 8, 2010

अंकुर की अभिलाषा


अनायास हे प्रकट हुई भावना और एक छोटे गमले में प्रस्फुटित पौधे में क्या समानता है?

Dono he chanbhangur hote hain aur yahi chanbhangurta mere is sanskaran ka aadhar hai.

Na jaane kyun achanak mere andar ka prakriti prem jaag gaya aur maine apne vyavashthit rasoi se kuch moong ke daane apne saamne pade hue ek viran se dikhne wale gamle mein daal diye.

यह chhan दोनों(गमले और मूंग के दाने) के लिए एक विशिष्ट पल था, क्युंकी दोनों को जीने की एक नयी chah मिल गयी.

Mitti jahan phir se apni kokh bharne par ithla rahi thi to wahin ek nav ankur apne vatsalya roop ko nihar raha tha.

Pradushan aur kolahal se bhare is mahool mein ek nav ankur ko badhta dekh main bhi ullasit tha.

Main paudhe ko seechta aur muskurata, paani gamley se ris kar ghar ke neev mein lagi mitti tak jaata.

Maine gaur kiya neev ki mitti thodi jyada he nam thi....
Haan, sub ka saubhagya gamley mein rakhi mitti sa nahi hota hai.

Insaan ki mahatvakancha ki keemat na jaane kitno ko chukani hogi.

Neev ki mitti par jahan vrikchho ka jungle tha aaj wahan concrete aur faullad hai. Magar gamley se rista paani use kabhi kabhi uske matritva ki yaad dila ke thoda sa nam kar deti hai.

Nav ankur ke liye ye safar mitti sa nahi hai, usne bahoot haal mein he apne prakritik mahool ko tyaga hai.

Aur use gamley mein uggane ki koshish mere jaise he ekka dukka prayavaran shashtri karte hain.

Mujhe lagta main koi ek nayi harit kranti lane ke muhaane par hoon aur main dugne teji se use seechta.

Paudha ek uchai aur chaudai tak badhne ke baad samajh gaya ki use ek krutrim mahool mein prakriteek peepasa ko saant karne ke liye badhaya jaa raha hai.

Aur yahin usne apne aap ko waise he khatam kar liya jaise lakho ped khatam ho rahe hain.

Is se ek baat shaabit hui, ki "hum nakhun kata ke shaheed nahi ban sakte".

Ek concrete jungle jiske neeche hazaro ped dafn ho, uske AC drawing room mein bonsai sajane se hum sirf environmnetal page 3 ho sakte hai aur kuch nahi.

So, wake up friends don't only work on getting a 2 or 3 BHK flat in a prime area.


Do care about the ecosystem that our childrens are going to inherit with this prime property.









8 comments:

  1. Sheershak achha hai....shabdon aur vakyon ka chayan v bahut bareekee se kiya gaya hai, har vakya lekhak ke vyaktitvya kee parchhai hai.. lekhak me ye bhav achanak nai aata hua dikh raha, ye to uske andar kaa prem bhav hai jo is roop me prakat hua hai ...nischit roop se ye sansakaran yuva varg ke liye kranti kee pukar hai...yah sansakaran mere vichar se mahtvyapurn aur sarahniya hai...


    parantu kaheen kaheen vakya sheershak se samanjsya na hone ka bhram paida kar rahen hain...

    Lekhak swyam ankur ko seenchata hai aur harshit antarman se use mitti ke matriya bhav se parichit karwata hai...parantu aant me lekhak sywam is bhavna ko tuchh karar deta hai...nischay heen yah bhav ek sandesh hai kintu iska prakatikaran ek utsahait avam mahtvakansha ke pare hona chahiye...

    Vivek Upadhyay
    (Aapka anuj)

    ReplyDelete
  2. There is a thought:- "Mind is like a parachute and it works when open"..... So, this small story by u is a great delivery of brain from one can take lesson on how to use one's brain. But this master piece is not only the work of brain but heart is also involved in this. To create these lines, i m sure that u would not have left any stone unturned.....

    Anyhow i admire and congratulate u for this ironical product.

    ReplyDelete
  3. jijag keep rocking mast likhte hainn...standing ovation yp u,,love ,,nd keep writing keep motivating

    ReplyDelete
  4. Really nice to see the eruption of thoughts in a constructive manner.Elated to get introduced with a rising poet among the revolutionary fraternity.
    The creation is quite well and comples the reader to check his basics against what's happening around us.
    personally i am looking forward to some "Veerras" type of creation from you.

    Nice work..Please keep posted ..

    ReplyDelete
  5. Nice writing.. though i had to read it more than once n take the help of google as well:).
    Ab software mein aake c++ hindi se zyada samajh aane laga hai ;). Gud one. Pretty creative !!

    ReplyDelete
  6. Bhaiya aapke liye "Kya baat kya baat kya baat". awesome lines for you.
    @@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
    Impossible is not a fact. It's an opinion.
    Impossible is not a declaration. It's a Dare.
    Impossible is potential.Impossible is temporary.
    Impossible is nothing.
    ***********************************

    ReplyDelete
  7. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  8. Impossible is nothing - Impossible itself says I m possible

    Very well thought and put forward in a nice way indeed.
    Keep up the good work!

    ReplyDelete